Chale The Ghar Se To Hum Dard Ki Dawa Ke Liye

chale the ghar se to hum dard ki dawa ke liye

paDe hain raste mein tere magar dua ke liye

mabaada shab ki siyahi zamin ko kha jae

naqab ruKH se uTha do zara KHuda ke liye

koi charagh to aandhi se bach ke niklega

jala diye hain bahut se diye hawa ke liye

yahan to roz nai aafaton se pala hai

'husain' kitne ab aaenge karbala ke liye

wo jis ne tur pe musa ko be-qarar kiya

taDap rahi hai nazar phir usi ada ke liye

zamin ka sina to shoalon ki misl jalta raha

taras ke chal diye 'ejaz' ek ghaTa ke liye

(885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale The Ghar Se To Hum Dard Ki Dawa Ke Liye In English By Famous Poet Ejaaz Ahamd Ejaaz. Chale The Ghar Se To Hum Dard Ki Dawa Ke Liye is written by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Read famous Poem Chale The Ghar Se To Hum Dard Ki Dawa Ke Liye for youth and Student by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Free Download Chale The Ghar Se To Hum Dard Ki Dawa Ke Liye in PDF.