Kabhi Qatar Se Bahar Kabhi Qatar Ke Bich

kabhi qatar se bahar kabhi qatar ke bich

main hijr-zad hua KHarch intizar ke bich

bana hua hai talluq sa ustuwari ka

mere tawaf se is mehwar o madar ke bich

ki aata jata rahe aks-e-hairati is mein

bichha diya gaya aaina aar-par ke bich

hawa ke khel mein shirkat ke waste mujh ko

KHizan ne shaKH se phenka hai rahguzar ke bich

ye main hun tu hai hayula hai har musafir ka

jo miT raha hai thakan se udhar ghubar ke bich

koi lakir si pani ki jhilmilati hai

kabhi kabhi mere matruk aabshaar ke bich

main umr ko to mujhe umr khinchti hai ulaT

tazad samt ka hai asp aur sawar ke bich

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Qatar Se Bahar Kabhi Qatar Ke Bich In English By Famous Poet Ejaz Gul. Kabhi Qatar Se Bahar Kabhi Qatar Ke Bich is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Kabhi Qatar Se Bahar Kabhi Qatar Ke Bich for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Kabhi Qatar Se Bahar Kabhi Qatar Ke Bich in PDF.