KHashak Se KHizan Mein Raha Nam Bagh Ka

KHashak se KHizan mein raha nam bagh ka

warna to har daraKHt pe qabza hai zagh ka

hairat hai sab talash pe us ki rahe musir

paya gaya suragh na jis be-suragh ka

hai irtikaz-e-zat mein waqfa zara si der

TuTa nahin hai rabta lau se charagh ka

kab kis pe mehrban ho aur kab ulaT paDe

kis ko yahan pata hai kisi ke dimagh ka

hota hai phir wo aur kisi yaad ke supurd

rakhta hun jo sambhaal ke lamha faragh ka

mashq-e-suKHan mein dil bhi hamesha se hai sharik

lekin hai is mein kaam ziyaada dimagh ka

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHashak Se KHizan Mein Raha Nam Bagh Ka In English By Famous Poet Ejaz Gul. KHashak Se KHizan Mein Raha Nam Bagh Ka is written by Ejaz Gul. Read famous Poem KHashak Se KHizan Mein Raha Nam Bagh Ka for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download KHashak Se KHizan Mein Raha Nam Bagh Ka in PDF.