Pesh-tar Jumbish-e-lab Baat Se Pahle Kya Tha

pesh-tar jumbish-e-lab baat se pahle kya tha

zehn mein sifr ki auqat se pahle kya tha

waslat o hijrat-e-ushshaq mein kya tha awwal

nafi thi baad to isbaat se pahle kya tha

koi gardish thi ki sakit the zamin o KHurshid

gumbad-e-waqt mein din raat se pahle kya tha

main agar pahla tamasha tha tamasha-gah mein

mashghala us ka meri zat se pahle kya tha

kuchh wasila to raha hoga shikam-seri ka

rizq-e-KHufta ki nabaatat se pahle kya tha

main agar aadam-e-sani hun to wirsa hai kahan

zarf-e-ajdad mein amwat se pahle kya tha

har mulaqat ka anjam judai tha agar

phir ye hangama mulaqat se pahle kya tha

main bhi maghlub tha hajat ki kasrat se magar

lutf us ko bhi munajat se pahle kya tha

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pesh-tar Jumbish-e-lab Baat Se Pahle Kya Tha In English By Famous Poet Ejaz Gul. Pesh-tar Jumbish-e-lab Baat Se Pahle Kya Tha is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Pesh-tar Jumbish-e-lab Baat Se Pahle Kya Tha for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Pesh-tar Jumbish-e-lab Baat Se Pahle Kya Tha in PDF.