Ye Ghumta Hua Aaina Apna Thahra Ke

ye ghumta hua aaina apna Thahra ke

zara dikha mera rafta tu charKH palTa ke

hai kaenat muamma juda tariqe ka

faqat sulajhta hai aapas mein girhen uljha ke

natija ek sa nikla dimagh aur dil ka

ki donon haar gae imtihan mein duniya ke

musafiron se raha hai wo rasta aabaad

palaT ke aae nahin jis se pesh-rau ja ke

ye hijr-zad samajhta hai kam visal ki baat

bata jo ramz-o-kinaya hain KHub phaila ke

ki band rahta hai shahr-e-talab ka darwaza

yaqin aaya mujhe bar bar ja aa ke

KHafif ho ke main chehre ko pher leta hun

agar guzarta hai tujh aashna sa katra ke

jawab mera ghalat tha sawal us ka durust

khula ye mujh pe kisi na-samajh ko samjha ke

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ghumta Hua Aaina Apna Thahra Ke In English By Famous Poet Ejaz Gul. Ye Ghumta Hua Aaina Apna Thahra Ke is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Ye Ghumta Hua Aaina Apna Thahra Ke for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Ye Ghumta Hua Aaina Apna Thahra Ke in PDF.