Kale Mausamon Ki AaKHiri Raat

tab hazaron andheron se

ek raushni ki kiran phuT kar

sard viran kamre ke tarik diwar-o-dar se ulajhne lagi

aur kamre mein phirte hue

saikaDon zard zarre

sadaon ke aaghosh par

bilbilate sisakte hue

meri jaanib baDhe

main ne apni shahadat ki ungli uThai

zard zarron se goya hua

dosto

aao baDhte chalen

raushni ki taraf raushni ki taraf

raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai

raushni ki taraf raushni ki taraf

raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai

raushni jo hamari tamannaon ki aas hai

zard zarre mere sath baDhne lage

raushni ki taraf raushni ki taraf

chand zarre ki jin ki ragon mein

siyah raat ki zulmaten bas chuki thin

meri baaton pe hansne lage

aur hanste rahe

tab hazaron andheron ke sine mein

phaila hua ek tilism

raushni ki tab-o-tab se

TuTne ke liye

aur aage baDha

(618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kale Mausamon Ki AaKHiri Raat In English By Famous Poet Ejaz Rahi. Kale Mausamon Ki AaKHiri Raat is written by Ejaz Rahi. Read famous Poem Kale Mausamon Ki AaKHiri Raat for youth and Student by Ejaz Rahi. Free Download Kale Mausamon Ki AaKHiri Raat in PDF.