Ab Karb Ke Tufan Se Guzarna Hi PaDega

ab karb ke tufan se guzarna hi paDega

suraj ko samundar mein utarna hi paDega

fitrat ke taqaze kabhi badle nahin jate

KHushbu hai agar wo to bikharna hi paDega

paDti hai to paD jae shikan us ki jabin par

sachchai ka izhaar to karna hi paDega

har shaKHs ko aaenge nazar rang sahar ke

KHurshid ki kirnon ko bikharna hi paDega

main soch raha hun ye sar-e-shahr-e-nigaran

ye us ki gali hai to Thaharna hi paDega

ab shana-e-tadbir hai hathon mein hamare

haalat ki zulfon ko sanwarna hi paDega

ek umr se be-nur hai ye mahfil-e-hasti

'ejaz' koi rang to bharna hi paDega

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Karb Ke Tufan Se Guzarna Hi PaDega In English By Famous Poet Ejaz Rahmani. Ab Karb Ke Tufan Se Guzarna Hi PaDega is written by Ejaz Rahmani. Read famous Poem Ab Karb Ke Tufan Se Guzarna Hi PaDega for youth and Student by Ejaz Rahmani. Free Download Ab Karb Ke Tufan Se Guzarna Hi PaDega in PDF.