Hawa Ke Waste Ek Kaam ChhoD Aaya Hun

hawa ke waste ek kaam chhoD aaya hun

diya jala ke sar-e-sham chhoD aaya hun

kabhi nasib ho fursat to us ko paDh lena

wo ek KHat jo tere nam chhoD aaya hun

hawa-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai

main apne ghar ke dar-o-baam chhoD aaya hun

koi charagh sar-e-rahguzar nahin na sahi

main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhoD aaya hun

abhi to aur bahut us pe tabsire honge

main guftugu mein jo ibham chhoD aaya hun

ye kam nahin hai wazahat meri asiri ki

paron ke rang tah-e-dam chhoD aaya hun

wahan se ek qadam bhi na ja saki aage

jahan pe gardish-e-ayyam chhoD aaya hun

mujhe jo DhunDhna chahe wo DhunDh le 'ejaz'

ki ab main kucha-e-gum-nam chhoD aaya hun

(1253) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ke Waste Ek Kaam ChhoD Aaya Hun In English By Famous Poet Ejaz Rahmani. Hawa Ke Waste Ek Kaam ChhoD Aaya Hun is written by Ejaz Rahmani. Read famous Poem Hawa Ke Waste Ek Kaam ChhoD Aaya Hun for youth and Student by Ejaz Rahmani. Free Download Hawa Ke Waste Ek Kaam ChhoD Aaya Hun in PDF.