KHushk Dariya PaDa Hai KHwahish Ka

KHushk dariya paDa hai KHwahish ka

KHwab dekha tha hum ne barish ka

mustaqil dil jalae rakhta hai

hai ye mausam hawa ki sazish ka

us se kahne ko to bahut kuchh hai

waqt milta nahin guzarish ka

koi us se to kuchh nahin kahta

bo raha hai jo beach ranjish ka

pa-ba-zanjir chal rahe hain jo hum

ye bhi pahlu hai ek numaish ka

phul kal the to aaj patthar hain

ye bhi andaz hai sataish ka

main ne aankhon se guftugu kar li

ye hunar hai zaban ki bandish ka

khil rahe hain gulab zaKHmon ke

shukriya aap ki nawazish ka

jari mashq-e-suKHan rahe 'ejaz'

kuchh sila to milega kawish ka

(1627) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushk Dariya PaDa Hai KHwahish Ka In English By Famous Poet Ejaz Rahmani. KHushk Dariya PaDa Hai KHwahish Ka is written by Ejaz Rahmani. Read famous Poem KHushk Dariya PaDa Hai KHwahish Ka for youth and Student by Ejaz Rahmani. Free Download KHushk Dariya PaDa Hai KHwahish Ka in PDF.