Naqsh-bar-ab Ho Gaya Hun Main

naqsh-bar-ab ho gaya hun main

kitna kamyab ho gaya hun main

jhurriyan kah rahi hain chehre ki

KHushk talab ho gaya hun main

kya karunga main ab KHushi le kar

gham se sairab ho gaya hun main

yaad rakhta nahin mujhe koi

arsa-e-KHwab ho gaya hun main

is qadar bar-e-gham uThaya hai

jhuk ke mehrab ho gaya hun main

ek masiha ki mehrbani se

jam-e-zahrab ho gaya hun main

KHushk aansu hue hain jis din se

dasht-e-be-ab ho gaya hun main

hai ye ehsan jabr-e-duniya ka

saKHt aasab ho gaya hun main

us ne jis din se chhu liya mujh ko

rashk-e-mahtab ho gaya hun main

KHud hi 'ejaz' apna dushman hun

sirf ahbab ho gaya hun main

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh-bar-ab Ho Gaya Hun Main In English By Famous Poet Ejaz Rahmani. Naqsh-bar-ab Ho Gaya Hun Main is written by Ejaz Rahmani. Read famous Poem Naqsh-bar-ab Ho Gaya Hun Main for youth and Student by Ejaz Rahmani. Free Download Naqsh-bar-ab Ho Gaya Hun Main in PDF.