Shahr-e-bina Ke Log

dast-e-shafqat kaTa aur hawa mein muallaq hua

aankh jhapki to palkon pe Thahri hui KHwahishen dhul mein aT gain

shahr-e-bina ki saDkon pe na-bina chalne lage

ek nadida talwar dil mein utarne lagi

panw ki dhul zanjir ban kar chhanakne lagi aur qadam sabz-ru KHak se KHauf khane lage

zehn mein ajnabi sarzamin ke KHayalat aane lage

sare na-bina ek dusre ka sahaara bane

sar pe kanTon bhara taj aur hath mein motiye ki chhaDi tham kar

dur se aane wali sada ke taaqub mein yun chal paDe

jaise un ka masiha isi samt ho

jaise un ke masiha ki aankhon mein sirf un ki taswir ho

jaise un ke KHayalon mein khilti zamin un ki jagir ho

(617) Peoples Rate This

Ejaz Rizvi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-bina Ke Log In English By Famous Poet Ejaz Rizvi. Shahr-e-bina Ke Log is written by Ejaz Rizvi. Read famous Poem Shahr-e-bina Ke Log for youth and Student by Ejaz Rizvi. Free Download Shahr-e-bina Ke Log in PDF.