Zarron Ka Mehr-o-mah Se Yarana Chahiye

zarron ka mehr-o-mah se yarana chahiye

be-nuriyon ko nur se chamkana chahiye

KHwabon ki naw aur samundar ka madd-o-jazr

Takra ke pash pash use ho jaana chahiye

nishtar-zani to shewa-e-arbab-e-fan nahin

in dil-jalon ko baat ye samjhana chahiye

ho raqs zindagi ke jahannam ke ird-gard

parwana ban ke kis liye jal jaana chahiye

khoden pahaD aur baramad ho sirf ghas

misron ko is qadar bhi na uljhana chahiye

fankar aur fan ke taqazon se na-balad

ehsas-e-kamtari hai to laD jaana chahiye

nam-e-husain le ke haqaeq se ru-kashi

aison ko qabl-e-maut hi mar jaana chahiye

(1245) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zarron Ka Mehr-o-mah Se Yarana Chahiye In English By Famous Poet Ejaz Siddiqi. Zarron Ka Mehr-o-mah Se Yarana Chahiye is written by Ejaz Siddiqi. Read famous Poem Zarron Ka Mehr-o-mah Se Yarana Chahiye for youth and Student by Ejaz Siddiqi. Free Download Zarron Ka Mehr-o-mah Se Yarana Chahiye in PDF.