Chup KhaDe Hain Darmiyan-e-kaba-o-but-KHana Hum

chup khaDe hain darmiyan-e-kaba-o-but-KHana hum

kis taraf jaen bata ai jalwa-e-jaanana hum

azmat-e-rafta se itne ho gae begana hum

ban gae hain apni hi nazron mein aaj afsana hum

hae ye majmua-e-sar-masti-o-kaif-o-KHumar

tak rahe hain teri aankhon ko liye paimana hum

bewafa shamen bahar-su DhunDhti hain ab hamein

miT gae jab surat-e-KHakistar-e-parwana hum

hain nigahon mein abhi tak tur ki ruswaiyan

ab kahan jurat ki dekhen jalwa-e-jaanana hum

aarzu-e-sajda-rezi had se baDh jati hai jab

sar tere qadmon pe rakh dete hain betabana hum

pa-e-saqi tak jabin-e-shauq ko pahuncha diya

tere mamnun-e-karam hain laghzish-e-mastana hum

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chup KhaDe Hain Darmiyan-e-kaba-o-but-KHana Hum In English By Famous Poet Ejaz Warsi. Chup KhaDe Hain Darmiyan-e-kaba-o-but-KHana Hum is written by Ejaz Warsi. Read famous Poem Chup KhaDe Hain Darmiyan-e-kaba-o-but-KHana Hum for youth and Student by Ejaz Warsi. Free Download Chup KhaDe Hain Darmiyan-e-kaba-o-but-KHana Hum in PDF.