Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin

dil bujh gaya to garmi-e-bazar bhi nahin

ab zikr-e-baada-o-lab-o-ruKHsar bhi nahin

apna tha KHalwaton mein kabhi partaw-e-jamal

qismat mein ab to saya-e-diwar bhi nahin

shikwa zaban pe phul se ahbab ka ghalat

ai dost mujh ko to gila-e-KHar bhi nahin

aaya na ras aap ko ai shaiKH roz-e-hashr

aur lutf ye hai aap gunahgar bhi nahin

qaem hun apni tauba pe main aaj bhi magar

koi hasin pilae to inkar bhi nahin

kya kijiye numaish-e-gham KHun-e-dil ke baad

ab aarzu-e-dida-e-KHunbar bhi nahin

elan-e-be-KHudi hai har ek qatra-e-lahu

mere junun ki had rasan-o-dar bhi nahin

nur-e-sahar ke nam pe bhaTken na qafile

dar-asl abhi to subh ke aasar bhi nahin

waiz KHayal-e-tauba baja hai magar abhi

main to ba-qadr-e-zarf gunahgar bhi nahin

(1020) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin In English By Famous Poet Ejaz Warsi. Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin is written by Ejaz Warsi. Read famous Poem Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin for youth and Student by Ejaz Warsi. Free Download Dil Bujh Gaya To Garmi-e-bazar Bhi Nahin in PDF.