KHun-e-nahaq Thi Faqat Duniya-e-ab-o-gil Ki Baat

KHun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat

ye hai mahshar kyun yahan ho daman-e-qatil ki baat

aaj kyun ashkon mein hai aks-e-tabassum jalwa-gar

aa gai kya apni had par gham ke mustaqbil ki baat

har nazar rangini-e-ruKH tak pahunch kar rah gai

phul ab kis se kahen gulshan mein zaKHm-e-dil ki baat

dekhte hi rah gae qanun-e-qudrat ahl-e-zabt

le uDi KHakistar-e-parwana jab mahfil ki baat

naKHuda hum aur tufan se karen fikr-e-farar

hum kabhi karte nahin sahil pe bhi sahil ki baat

ho na jae phir shuur-e-karwan nazr-e-fareb

chheD di hai rahbar ne aaj phir manzil ki baat

koi apna hai na koi hamdam-o-dard-ashna

ai KHuda kis se kahe 'ejaz' apne dil ki baat

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHun-e-nahaq Thi Faqat Duniya-e-ab-o-gil Ki Baat In English By Famous Poet Ejaz Warsi. KHun-e-nahaq Thi Faqat Duniya-e-ab-o-gil Ki Baat is written by Ejaz Warsi. Read famous Poem KHun-e-nahaq Thi Faqat Duniya-e-ab-o-gil Ki Baat for youth and Student by Ejaz Warsi. Free Download KHun-e-nahaq Thi Faqat Duniya-e-ab-o-gil Ki Baat in PDF.