Jagir Agar Bahut Na Mili Hum Kun Gham Nahin

jagir agar bahut na mili hum kun gham nahin

hasil hamare mulk-e-qanaat ka kam nahin

is sath mah-ruKHan ko nahin kuchh barabari

yusuf se ye nigar-e-pari-zad kam nahin

KHush-suratan se kya karun main aashnai ab

mujh ko to in dinon mein mayassar diram nahin

dil bandhte nahin hain hamare milap par

mah-talatan mein mujh ko to ab kuchh bharam nahin

milte ho sab ke ja ke ghar aur hum sun ho kanar

kuchh hum to un chakoron se ai mah kam nahin

zahir ke dost aate nahin kaam waqt par

talwar kaT kya kare jis ko jo dam nahin

'faez' ko bhaya misra-e-'yakrang' ai sajan

gar tum miloge un seti dekhoge hum nahin

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagir Agar Bahut Na Mili Hum Kun Gham Nahin In English By Famous Poet Faez Dehlvi. Jagir Agar Bahut Na Mili Hum Kun Gham Nahin is written by Faez Dehlvi. Read famous Poem Jagir Agar Bahut Na Mili Hum Kun Gham Nahin for youth and Student by Faez Dehlvi. Free Download Jagir Agar Bahut Na Mili Hum Kun Gham Nahin in PDF.