KHuban Ke Bich Jaanan Mumtaz Hai Sarapa

KHuban ke bich jaanan mumtaz hai sarapa

andaz-e-dilbari mein ejaz hai sarapa

pal pal maTak ke dekhe Dag Dag chale laTak ke

wo shoKH chhal chhabila tannaz hai sarapa

tirchhi nigah karna katra ke baat sunna

majlis mein aashiqon ki andaz hai sarapa

nainon mein us ki jadu zulfan mein us ki phanda

dil ke shikar mein wo shahbaz hai sarapa

ghamza nigah taghaful ankhiyan siyah o chanchal

ya rab nazar na lage andaz hai sarapa

us ke KHiram upar taus mast haiga

wo mir dil-rababi tannaz hai sarapa

kisht-e-ummid karta sarsabz sabza-e-KHat

anjam-e-husn us ka aaghaz hai sarapa

waqt-e-nazara 'faez' dildar ka yahi hai

bistar nahin badan par tan-baz hai sarapa

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuban Ke Bich Jaanan Mumtaz Hai Sarapa In English By Famous Poet Faez Dehlvi. KHuban Ke Bich Jaanan Mumtaz Hai Sarapa is written by Faez Dehlvi. Read famous Poem KHuban Ke Bich Jaanan Mumtaz Hai Sarapa for youth and Student by Faez Dehlvi. Free Download KHuban Ke Bich Jaanan Mumtaz Hai Sarapa in PDF.