Badan Ko KHak Kiya Aur Lahu Ko Aab Kiya

badan ko KHak kiya aur lahu ko aab kiya

phir is ke baad murattab naya nisab kiya

thakan sameT ke sadiyon ki jab gire KHud par

tujhe KHud apne hi andar se bazyab kiya

phir is ke baad tere ishq ko lagaya gale

har ek sans ko apne liye azab kiya

agar wajud mein aa kar use na milna tha

hamein kyun bhej ke is dahr mein KHarab kiya

usi ne chand ke pahlu mein ek charagh rakha

usi ne dasht ke zarron ko aaftab kiya

(612) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Ko KHak Kiya Aur Lahu Ko Aab Kiya In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Badan Ko KHak Kiya Aur Lahu Ko Aab Kiya is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Badan Ko KHak Kiya Aur Lahu Ko Aab Kiya for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Badan Ko KHak Kiya Aur Lahu Ko Aab Kiya in PDF.