Barg-e-sada Ko Lab Se UDe Der Ho Gai

barg-e-sada ko lab se uDe der ho gai

hum ko bhi ab to KHak hue der ho gai

ab sahilon pe kis ko sada de rahe ho tum

lamhon ke baadban khule der ho gai

ai husn-e-KHud-parast zara soch to sahi

mehr-o-wafa se tujh ko mile der ho gai

tera visal KHair ab ek waqia hua

ab apne-ap se bhi mile der ho gai

sadiyon ki ret Dhanp kar aasuda ho gae

sar ko hamare tan se kaTe der ho gai

sarsar ho ya saba ho ki hon tez aandhiyan

hum ko fasil-e-shab pe jale der ho gai

teri gali ke moD pe pahunche the jald hum

par tere ghar ko aate hue der ho gai

ek daur tha 'shanas' sada thi meri buland

aur ab to mere honT sile der ho gai

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barg-e-sada Ko Lab Se UDe Der Ho Gai In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Barg-e-sada Ko Lab Se UDe Der Ho Gai is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Barg-e-sada Ko Lab Se UDe Der Ho Gai for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Barg-e-sada Ko Lab Se UDe Der Ho Gai in PDF.