Dhund Mein Dubi Sari Faza Thi Uske Baal Bhi Gile The

dhund mein Dubi sari faza thi us ke baal bhi gile the

jis ki aankhen jhilon jaisi jis ke honT rasile the

jis ko kho kar KHak hue hum aaj use bhi dekha to

hansti aankhen afsurda thin honT bhi nile nile the

jin ko chhu kar kitne 'zaidi' apni jaan ganwa baiThe

mere ahd ki shahnazon ke jism baDe zahrile the

aaKHir aaKHir aisa hua ki tera nam bhi bhul gae

awwal awwal ishq mein jaanan hum kitne joshile the

aankhen bujha ke KHud ko bhula ke aaj 'shanas' main aaya hun

talKH thin lahjon ki barsaten rang bhi kaDwe-kasile the

(2013) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhund Mein Dubi Sari Faza Thi Uske Baal Bhi Gile The In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Dhund Mein Dubi Sari Faza Thi Uske Baal Bhi Gile The is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Dhund Mein Dubi Sari Faza Thi Uske Baal Bhi Gile The for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Dhund Mein Dubi Sari Faza Thi Uske Baal Bhi Gile The in PDF.