Husn Alfaz Ke Paikar Mein Agar Aa Sakta

husn alfaz ke paikar mein agar aa sakta

kaisa hota hai KHuda tum ko main dikhla sakta

is safar pe hun ki halkan hua jata hun

aur kahan jaana hai ye bhi nahin batla sakta

haarna bhi hai yaqini pe meri fitrat hai

ek hi chaal hamesha nahin dohra sakta

zindagi ab tu mujhe aur khilaune la de

aaise KHwabon se to main dil nahin bahla sakta

main bhi taqdir ke likkhe pe yaqin le aata

waqt ek bar jo us se mujhe milwa sakta

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Alfaz Ke Paikar Mein Agar Aa Sakta In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Husn Alfaz Ke Paikar Mein Agar Aa Sakta is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Husn Alfaz Ke Paikar Mein Agar Aa Sakta for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Husn Alfaz Ke Paikar Mein Agar Aa Sakta in PDF.