Lahu Ki Lahr Mein Ek KHwab-e-dil-shikan Bhi Gaya

lahu ki lahr mein ek KHwab-e-dil-shikan bhi gaya

phir us ke sath hi aankhen gain badan bhi gaya

badalte waqt ne badle mizaj bhi kaise

teri ada bhi gai mera bankpan bhi gaya

bas ek bar wo aaya tha sair karne ko

phir us ke sath hi KHushbu gai chaman bhi gaya

bas ek talluq be-nam TuTne ke baad

suKHan tamam hua rishta-e-suKHan bhi gaya

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ki Lahr Mein Ek KHwab-e-dil-shikan Bhi Gaya In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Lahu Ki Lahr Mein Ek KHwab-e-dil-shikan Bhi Gaya is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Lahu Ki Lahr Mein Ek KHwab-e-dil-shikan Bhi Gaya for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Lahu Ki Lahr Mein Ek KHwab-e-dil-shikan Bhi Gaya in PDF.