Raste Mein Sham Ho Gai Qissa Tamam Ho Chuka

raste mein sham ho gai qissa tamam ho chuka

jo kuchh bhi tha ai zindagi wo tere nam ho chuka

kab ki guzar gai wo shab jis mein kisi ka nur tha

kab ki gali mein dhup hai jina haram ho chuka

phirte rahen nagar nagar kucha-ba-kucha dar-ba-dar

apne KHiyam jal chuke apna salam ho chuka

raat mein baqi kuchh nahin nind mein baqi kuchh nahin

apna har ek KHwab to nazr-e-awam ho chuka

us ke labon ki guftugu karte rahe subu subu

yani suKHan hue tamam yani kalam ho chuka

ishq gar aisa ishq hai aaankhon se bahne do lahu

zist gar aisi zist hai apna to kaam ho chuka

raste tamam ho gae us ki gali ke aas-pas

yani KHiram ho chuka yani qayam ho chuka

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Mein Sham Ho Gai Qissa Tamam Ho Chuka In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Raste Mein Sham Ho Gai Qissa Tamam Ho Chuka is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Raste Mein Sham Ho Gai Qissa Tamam Ho Chuka for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Raste Mein Sham Ho Gai Qissa Tamam Ho Chuka in PDF.