Samajh Raha Tha Main Ye Din Guzarne Wala Nahin

samajh raha tha main ye din guzarne wala nahin

khula ki koi bhi lamha Thaharne wala nahin

koi bhi rasta kisi samt ko nahin jata

koi safar meri takmil karne wala nahin

hawa ki abr ki koshish to puri puri hai

magar dhuwen ki tarah main bikharne wala nahin

main apne-ap ko bas ek bar dekhunga

phir is ke baad kisi se bhi Darne wala nahin

charagh-e-jaan liye kis dasht mein khaDa hun main

koi bhi qafila yan se guzarne wala nahin

main kya karun koi taswir gar adhuri hai

main apne rang to ab us mein bharne wala nahin

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samajh Raha Tha Main Ye Din Guzarne Wala Nahin In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Samajh Raha Tha Main Ye Din Guzarne Wala Nahin is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Samajh Raha Tha Main Ye Din Guzarne Wala Nahin for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Samajh Raha Tha Main Ye Din Guzarne Wala Nahin in PDF.