Zamin Par Na Rahe Aasman Ko ChhoD Diya

zamin par na rahe aasman ko chhoD diya

tumhaare baad zaman o makan ko chhoD diya

tabah kar gaya ek lamha-e-KHarab mujhe

ki main ne halqa-e-awargan ko chhoD diya

kahin panah nahin milti lamha bhar ke liye

ki jab se mahfil-e-dil-dadgan ko chhoD diya

bas ek kunj-e-KHas-o-KHak mein sukun mila

so main ne halqa-e-sayyargan ko chhoD diya

tumhaare baad guzishta raha na haal raha

so dil ne KHadsha-e-aindagan ko chhoD diya

(646) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Par Na Rahe Aasman Ko ChhoD Diya In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Zamin Par Na Rahe Aasman Ko ChhoD Diya is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Zamin Par Na Rahe Aasman Ko ChhoD Diya for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Zamin Par Na Rahe Aasman Ko ChhoD Diya in PDF.