Aahista Se Guzro

guzarna hi agar Thahra

to aahista se guzro

koi aahaT na ho pae

abhi raste mein rasta so raha hai

abhi virani ke pahlu mein KHwabida hai KHamoshi

abhi tanhai se lipTi masafat so rahi hai

kahin aisa na ho

dasht-e-tahayyur jag jae

lahu mein be-karan gham ka samundar jag jae

abhi to pahle Dar hi se ragon mein KHamushi hai

abhi to KHun ki har bund ruk ruk ke sarakti hai

abhi gham dil mein

kuchh is andaz se karwaT badalta hai

nahin hota zara mahsus bhi wo sans leta hai

ba-zahir so raha hai ye samundar

is ko sone do

hamein bhi apne hone par zara sa khul ke rone do

guzarna ho to is manzar se aahista

bahut aahista se guzro

abhi to dhup chhanw ka

tamasha ho raha hai

abhi ashjar ke sae mein dariya so raha hai

koi is ke kinare

baadalon sa ro raha hai

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aahista Se Guzro In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Aahista Se Guzro is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Aahista Se Guzro for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Aahista Se Guzro in PDF.