Aaina Dekhte Ho

is ke aadab to pahle sikho

KHak mein KHun-e-rag-e-jaan to

mila kar dekho

aankh dariya to bana kar dekho

sham ki ThanDi hawa raston ko degi bose

KHwab aaankhon mein samundar ka utar aaega

rang mein rang milenge

git phir chheDenge dariya ke kinare ashjar

aaina dekhte ho

sath-e-dariya pe jahan kai bane aaina

chandni jhil ki lahron pe bane aaina

ashk aaankhon se gire aur bane aaina

sarbanon ke qadam chumte jo dasht bane aaina

aatish-e-gham se jale dil to bane aaina

aankh se saf karo gard

nazar tez karo

KHak mein KHwab milao

use mahmez karo

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Dekhte Ho In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Aaina Dekhte Ho is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Aaina Dekhte Ho for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Aaina Dekhte Ho in PDF.