Hamare Shajre Bikhar Gae Hain

guman ki be-rang saaton mein

nawah-e-karb-o-bala se darbar-e-sham tak hum

lahu ki ek ek bund ka sab KHiraj de kar

tamam qarze chukate aae

shikasta dahliz

lahu ki mehrab

sinan ka mimbar

hamari izzat baDhate aae

wo hum hi the jo qayam karte

rukua mein jhukte

zakat de kar

KHud apne hisse ka taam de kar

darud o salat paDhte aae

wo hum the jo gharon se nikle

to phir abad tak

palaT ke ghar ki taraf na dekha

sitara-e-sahari gawah hai

ki hum ne insan ko

chhanw dete

ghanere peDon pe KHun chhiDka

jhulaste sahra ko tazgi di

dahakti dharti ko zindagi di

magar wo taskin ka pul kahan hai

bhanwar bhanwar hai zamana sara

wajud apne kidhar gae hain

hamare shajre bikhar gae hain

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Shajre Bikhar Gae Hain In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Hamare Shajre Bikhar Gae Hain is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Hamare Shajre Bikhar Gae Hain for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Hamare Shajre Bikhar Gae Hain in PDF.