KHud-kushi Ke Pul Par

KHud-kushi ke pul par

samundar ki lahron mein bahti

fasurda o nakaam

jismon ki ruhen

bulati hain mujh ko

chale aao har gham se daman chhuDa lo

miTa do

fana hone wale badan ko miTa do

fana se na Darna

yahi asl mein zindagi hai

isi mein haqiqi KHushi hai

samundar ki lahron mein

sayyal ruhon ke

giton mein behad kashish hai

ye dil chahta hai

ki main ja milun un se

un sa hi ho jaun

par main unhen kis tarah ye bataun

ki ai iztirab-e-musalsal ke girdab mein qaid ruho

mujhe tum se hamdardi hai

pyar hai

main KHud chahta hun

man o tu ki sari fasilen phalagun

magar kya karun

kuchh muqaddas se rishte

dua-go si aanhken

mujhe yaad aati hain

chup-chap ghar lauT aata hun main

un hasin pyare logon ki KHatir to

jina paDega

ye zahrab pina paDega

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud-kushi Ke Pul Par In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. KHud-kushi Ke Pul Par is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem KHud-kushi Ke Pul Par for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download KHud-kushi Ke Pul Par in PDF.