La Bhi Hai Ek Guman

tum ne kya dekha yahan kuchh bhi nahin

hum ne kya paya yahan kuchh bhi nahin

be-kasi hae tamanna ki na duniya hai na din

la se aaghaz fasane ka hua

la se tahzib zamane ki hui

la ki tafsir nahin hai mumkin

la hi se ishq ka aaghaz hua

ishq hai ek bala

ishq saffak o hawasnak darida-daman

jis ke qadmon se bipharte hue dariya umDe

jis ki aankhon se dahakte hue hire nikle

jis ke hathon pe chamakte hue mahtab utre

ishq wo aag ki jo aur jila de jae

ishq wo KHwab ki jo nind uDa le jae

is qadar sarkash o saffak ki bas

dasht-e-kashan se dilli ka safar

nigah-e-jalwa-parast aur nafas-e-sidq-guzin

ek ubhai-chand mere nama-e-amal mein hai

aalam-e-kul KHwab mein hai

sang-e-marmar ki usi masjid ke

surKH zinon pe lahu bahta hai

aaj bhi kal ki tarah hansta hai

kufr masjid mein bahata hai lahu

ishq sajde mein kahe shukr-allah

shahabaad bhi tufan mein bahta jae

aur 'dara' hai kisi soch mein gharq

masnad-e-adl sipah-salar aur taKHt mein ham-fikri hai

ek hai mulla-qawi

ek hai bas yahan aalamgir

aur maqtal mein akela 'sarmad'

ruKH-e-tariKH badalne ko hai

us ke ashaar hi se taKHt laraz jata hai

aaise adwar kai bar zamin par guzre

kaise talwar ne maftuh qalam karne ko

hath kaTe hain zaban kaTi hai sar kaTe hain

hum ne dekha hai khuli aankhon se

aaj ki kaun kare ab tazim

kal ki takzib nahin ho sakti

rakh se ghar to nahin ban sakte

koh mein dar to nahin ban sakte

KHwab fariyaad nahin kar sakte

KHwab dekha hai khuli aankhon se

chand ko KHun mein nahate hum ne

sar khule dasht ko matam karte

aur mahallat ko khanDaron mein badalte dekha

kizb ko adl ka har faisla karte dekha

taKHt ko waqt ka firaun bhi bante dekha

zer-e-shamshir ye 'sarmad' ne kaha hanste hue

masnad-e-adl-o-musawat yahan kuchh bhi nahin

la bhi hai ek guman

aur guman kuchh bhi nahin

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

La Bhi Hai Ek Guman In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. La Bhi Hai Ek Guman is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem La Bhi Hai Ek Guman for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download La Bhi Hai Ek Guman in PDF.