Mujhe Kaun Bulata Rahta Hai

mire panw ke niche KHak nahin

kisi aur zamin ki miTTi hai

mere hath mein waqt ki rasen hain

jo pal pal phisli jati hain

aur hare daraKHton ki shaKHen

mera rasta jhankti rahti hain

aur sabz ghanera jangal hai

mere panw ke niche chand nahin

ek aur hi des ki miTTi hai

aur dhup ka dariya mauj mein hai

aur dasht mere qadmon se lipTa jata hai

mujhe koi na koi bulata hai

mere panw bhi mere panw nahin

mera jism nahin meri jaan nahin

meri aaankhon ne ghaddari ki

mere hath kisi ne kaT diye

mera dil mujhe rah mein chhoD gaya

ab dhup ka dariya mauj mein hai

aur dur koi jangal mein hai

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Kaun Bulata Rahta Hai In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Mujhe Kaun Bulata Rahta Hai is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Mujhe Kaun Bulata Rahta Hai for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Mujhe Kaun Bulata Rahta Hai in PDF.