Rahdari Mein Gunjti Nazm

bara-dari mein chand sar-e-sham ho gaya

rah-dariyon ke parde uDati rahi hawa

mashal-tale ghulam ki talwar kho gai

burgi pe jab sitara gira

raat thi bahut

aur shah-e-waqt apne hi nashshe mein mast tha

pishwaz niche daera us ko nahin mila

bara-dari mein aag lagi thi

lagi rahi

aur bansuri ke nai kahin KHamosh rah gai

aur chand shahzadi ke qadmon mein so gaya

phir yun hua ki dard se

aansu hue gulab

aur aanhken huin charagh

yalghaar raston pe rahi

aandhiyon ki shab

aur dhul aasman ko barbaad kar gai

sab aanganon ke kachche ghaDon mein bhari hai ret

pani lahu hua

sarshaar o mast kaise

zamin par gira hai taj

so is ke baad chaal o tariKH ne chali

yalghaar-e-barq-o-baad hui hai gali gali

boson mein bhigti hui tanhaiyon ki yaad

aur subh ki azan se uDe dilbari ke rang

aur KHwab jangalon mein bhaTakte rahe kahin

baala-hsar

shahr-e-pinah

baam-o-dar

mahal

tufani barishon mein bhi khilte rahe gulab

ham-juft sara shahr

bara-dari mein zindagi be-nam ho gai

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahdari Mein Gunjti Nazm In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Rahdari Mein Gunjti Nazm is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Rahdari Mein Gunjti Nazm for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Rahdari Mein Gunjti Nazm in PDF.