Shab-gardon Ke Liye Ek Nazm

raat hai burda-farosh

us ke bahkae hue hosh mein kab aae hain

apne aanchal ke sitare bhi jo nilam kare

us ki banhon mein jo bahka hai

wo sambhla hi nahin

us ki baaton mein jo aaya

wo kabhi soya nahin

jis ke paikar ko hawa ne bhi kabhi mas na kiya

raat purkar

fusun-zar

aur aashufta-mizaj

jis ki aaankhon ko kisi KHwab ne bosa na diya

aisi dilkash ki misal us ki muhaal

jis se ham-KHwab ho be-KHwabi muqaddar us ka

jis ke ham-rah chale KHud ko bhula deta hai

us ke bahkae hue

'hafiz' o 'rumi' o 'tabrez' hue

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-gardon Ke Liye Ek Nazm In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Shab-gardon Ke Liye Ek Nazm is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Shab-gardon Ke Liye Ek Nazm for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Shab-gardon Ke Liye Ek Nazm in PDF.