Wo Aur Main

us ko mere KHwabon ka rasta

jaane kis ne dikhaya hai

main jab aadhi raat ko thak kar

apne-ap pe girta hun

wo chupke se aa jati hai

sabz sunahre KHwab liye

narm gulabi hathon se mere baalon ko suljhati hai

dhime suron mein

'faiz' ki nazm sunati hai

main us ko dekhta rahta hun

nind mein jagta rahta hun

aur wo mere bazu par

sar rakh kar so jati hai

sapnon mein kho jati hai

wo KHwab mein hansti rahti hai

main jag ke rota rahta hun

(712) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Wo Aur Main In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Wo Aur Main is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Wo Aur Main for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Wo Aur Main in PDF.