Ek Mehman Ka Hijr Tari Hai

ek mehman ka hijr tari hai

mezbani ki mashq jari hai

sirf halki si be-qarari hai

aaj ki raat dil pe bhaari hai

koi panchhi koi shikari hai

zinda rahne ki jang jari hai

bas tere gham ki gham-gusari hai

aur kya shaeri hamari hai

aap karte hain shabnami baaten

aur meri pyas reg-zari hai

ab kahan dasht mein junun wale

jis ko dekho wahi shikari hai

mere aansu nahin hain la-waris

ek tabassum se rishte-dari hai

(1593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Mehman Ka Hijr Tari Hai In English By Famous Poet Fahmi Badayuni. Ek Mehman Ka Hijr Tari Hai is written by Fahmi Badayuni. Read famous Poem Ek Mehman Ka Hijr Tari Hai for youth and Student by Fahmi Badayuni. Free Download Ek Mehman Ka Hijr Tari Hai in PDF.