Tafsil Masafat Ki

ek din jo baham honge

tujh se tere darmanda

kya arz guzarenge

kya haal sunaenge

mauhum kashida hai

taswir qayamat ki

shayad na suna paen

tafsil masafat ki

lab basta rahen shayad

ye din jo guzare hain

mahram hai koi kis ka

ya zaKHm ki sargoshi

ya hamare hain

aankhon pe kiye saya

kab dur talak dekha

larzan thi zamin kis pal

kab su-e-falak dekha

kab dasht ki tanhai

aankhon mein utar aai

kab wahm samaat thi

kab kho gai goyai

kis moD pe hairan the

kis rah mein viran the

ijmal haqiqat ke

shayad na raqam honge

ek din jo baham honge

tak lenge teri surat

aur sar ko jhuka lenge

mal Dalenge aankhon ko

gar yaad sarab aae

gum-sum teri chaukhaT par

ho jaenge hum shayad

chhu kar tere daman ko

so jaenge hum shayad

(1336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tafsil Masafat Ki In English By Famous Poet Fahmida Riaz. Tafsil Masafat Ki is written by Fahmida Riaz. Read famous Poem Tafsil Masafat Ki for youth and Student by Fahmida Riaz. Free Download Tafsil Masafat Ki in PDF.