Har ShaKHs Pareshan Hai Ghabraya Hua Hai

har shaKHs pareshan hai ghabraya hua hai

mahtab baDi der se gahnaya hua hai

hai koi saKHi is ki taraf dekhne wala

ye hath baDi der se phailaya hua hai

hissa hai kisi aur ka is kar-e-ziyan mein

sarmaya kisi aur ka lagwaya hua hai

sanpon mein asa phenk ke ab mahw-e-dua hun

malum hai dimak ne use khaya hua hai

duniya ke bujhane se bujhi hai na bujhegi

is aag ko taqdir ne dahkaya hua hai

kya dhup hai jo abr ke sine se lagi hai

sahra bhi use dekh ke sharmaya hua hai

israr na kar mere KHarabe se chala ja

mujh par kisi aaseb ka dil aaya hua hai

tu KHwab-e-digar hai teri tadfin kahan ho

dil mein to kisi aur ko dafnaya hua hai

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har ShaKHs Pareshan Hai Ghabraya Hua Hai In English By Famous Poet Faisal Ajmi. Har ShaKHs Pareshan Hai Ghabraya Hua Hai is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem Har ShaKHs Pareshan Hai Ghabraya Hua Hai for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download Har ShaKHs Pareshan Hai Ghabraya Hua Hai in PDF.