Be-dam Hue Bimar Dawa Kyun Nahin Dete

be-dam hue bimar dawa kyun nahin dete

tum achchhe masiha ho shifa kyun nahin dete

dard-e-shab-e-hijran ki jaza kyun nahin dete

KHun-e-dil-e-wahshi ka sila kyun nahin dete

miT jaegi maKHluq to insaf karoge

munsif ho to ab hashr uTha kyun nahin dete

han nukta-waro lao lab o dil ki gawahi

han naghmagaro saz-e-sada kyun nahin dete

paiman-e-junun hathon ko sharmaega kab tak

dil walo gareban ka pata kyun nahin dete

barbaadi-e-dil jabr nahin 'faiz' kisi ka

wo dushman-e-jaan hai to bhula kyun nahin dete

(4465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-dam Hue Bimar Dawa Kyun Nahin Dete In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Be-dam Hue Bimar Dawa Kyun Nahin Dete is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Be-dam Hue Bimar Dawa Kyun Nahin Dete for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Be-dam Hue Bimar Dawa Kyun Nahin Dete in PDF.