Chand Nikle Kisi Jaanib Teri Zebai Ka

chand nikle kisi jaanib teri zebai ka

rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

daulat-e-lab se phir ai KHusraw-e-shirin-dahanan

aaj arzan ho koi harf shanasai ka

garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan

tazkira chheDe teri pairahan-arai ka

sehn-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshad-qadan

phir nazar aae saliqa teri ranai ka

ek bar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan

koi wada koi iqrar masihai ka

dida o dil ko sambhaalo ki sar-e-sham-e-firaq

saz-o-saman baham pahuncha hai ruswai ka

(2462) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Nikle Kisi Jaanib Teri Zebai Ka In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Chand Nikle Kisi Jaanib Teri Zebai Ka is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Chand Nikle Kisi Jaanib Teri Zebai Ka for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Chand Nikle Kisi Jaanib Teri Zebai Ka in PDF.