Garmi-e-shauq-e-nazara Ka Asar To Dekho

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho

gul khile jate hain wo saya-e-tar to dekho

aise nadan bhi na the jaan se guzarne wale

naseho pand-garo rahguzar to dekho

wo to wo hai tumhein ho jaegi ulfat mujh se

ek nazar tum mere mahbub-e-nazar to dekho

wo jo ab chaak gareban bhi nahin karte hain

dekhne walo kabhi un ka jigar to dekho

daman-e-dard ko gulzar bana rakkha hai

aao ek din dil-e-pur-KHun ka hunar to dekho

subh ki tarah jhamakta hai shab-e-gham ka ufuq

'faiz' tabindagi-e-dida-e-tar to dekho

(2122) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garmi-e-shauq-e-nazara Ka Asar To Dekho In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Garmi-e-shauq-e-nazara Ka Asar To Dekho is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Garmi-e-shauq-e-nazara Ka Asar To Dekho for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Garmi-e-shauq-e-nazara Ka Asar To Dekho in PDF.