Gham-ba-dil Shukr-ba-lab Mast O Ghazal-KHwan Chaliye

gham-ba-dil shukr-ba-lab mast o ghazal-KHwan chaliye

jab tilak sath tere umr-e-gurezan chaliye

rahmat-e-haq se jo is samt kabhi rah mile

su-e-jannat bhi ba-rah-e-rah-e-jaanan chaliye

nazr mange jo gulistan se KHuda-wand-e-jahan

saghar-e-mai mein liye KHun-e-bahaaran chaliye

jab satane lage be-rangi-e-diwar-e-jahan

naqsh karne koi taswir-e-hasinan chaliye

kuchh bhi ho aaina-e-dil ko musaffa rakhiye

jo bhi guzre masal-e-KHusraw-e-dauran chaliye

imtihan jab bhi ho manzur jigar-daron ka

mahfil-e-yar mein ham-rah-e-raqiban chaliye

(1695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-ba-dil Shukr-ba-lab Mast O Ghazal-KHwan Chaliye In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Gham-ba-dil Shukr-ba-lab Mast O Ghazal-KHwan Chaliye is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Gham-ba-dil Shukr-ba-lab Mast O Ghazal-KHwan Chaliye for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Gham-ba-dil Shukr-ba-lab Mast O Ghazal-KHwan Chaliye in PDF.