Girani-e-shab-e-hijran Do-chand Kya Karte

girani-e-shab-e-hijran do-chand kya karte

ilaj-e-dard tere dardmand kya karte

wahin lagi hai jo nazuk maqam the dil ke

ye farq dast-e-adu ke gazand kya karte

jagah jagah pe the naseh to ku-ba-ku dilbar

inhen pasand unhen na-pasand kya karte

hamin ne rok liya panja-e-junun warna

hamein asir ye kotah-kamand kya karte

jinhen KHabar thi ki shart-e-nawa-gari kya hai

wo KHush-nawa gila-e-qaid-o-band kya karte

gulu-e-ishq ko dar-o-rasan pahunch na sake

to lauT aae tere sar-buland kya karte

(2680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Girani-e-shab-e-hijran Do-chand Kya Karte In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Girani-e-shab-e-hijran Do-chand Kya Karte is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Girani-e-shab-e-hijran Do-chand Kya Karte for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Girani-e-shab-e-hijran Do-chand Kya Karte in PDF.