Gulon Mein Rang Bhare Baad-e-nau-bahaar Chale

gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale

chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale

qafas udas hai yaro saba se kuchh to kaho

kahin to bahr-e-KHuda aaj zikr-e-yar chale

kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaz

kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale

baDa hai dard ka rishta ye dil gharib sahi

tumhaare nam pe aaenge gham-gusar chale

jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran

hamare ashk teri aaqibat sanwar chale

huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab

girah mein le ke gareban ka tar tar chale

maqam 'faiz' koi rah mein jacha hi nahin

jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale

(3994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulon Mein Rang Bhare Baad-e-nau-bahaar Chale In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Gulon Mein Rang Bhare Baad-e-nau-bahaar Chale is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Gulon Mein Rang Bhare Baad-e-nau-bahaar Chale for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Gulon Mein Rang Bhare Baad-e-nau-bahaar Chale in PDF.