Hairan Hai Jabin Aaj Kidhar Sajda Rawa Hai

hairan hai jabin aaj kidhar sajda rawa hai

sar par hain KHudawand sar-e-arsh KHuda hai

kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar mein

ye sabr ka pauda to na phula na phala hai

milta hai KHiraj us ko teri nan-e-jawin se

har baadshah-e-waqt tere dar ka gada hai

har ek uqubat se hai talKHi mein sawa-tar

wo rang jo na-karda gunahon ki saza hai

ehsan liye kitne masiha-nafason ke

kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai

(2028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairan Hai Jabin Aaj Kidhar Sajda Rawa Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Hairan Hai Jabin Aaj Kidhar Sajda Rawa Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Hairan Hai Jabin Aaj Kidhar Sajda Rawa Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Hairan Hai Jabin Aaj Kidhar Sajda Rawa Hai in PDF.