Hasrat-e-did Mein Guzaran Hain Zamane Kab Se

hasrat-e-did mein guzaran hain zamane kab se

dasht-e-ummid mein gardan hain diwane kab se

der se aankh pe utra nahin ashkon ka azab

apne zimme hai tera qarz na jaane kab se

kis tarah pak ho be-arzu lamhon ka hisab

dard aaya nahin darbar sajaane kab se

sar karo saz ki chheDen koi dil-soz ghazal

DhunDta hai dil-e-shorida bahane kab se

pur karo jam ki shayad ho isi lahza rawan

rok rakkha hai jo ek tir qaza ne kab se

'faiz' phir kab kisi maqtal mein karenge aabaad

lab pe viran hain shahidon ke fasane kab se

(1762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasrat-e-did Mein Guzaran Hain Zamane Kab Se In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Hasrat-e-did Mein Guzaran Hain Zamane Kab Se is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Hasrat-e-did Mein Guzaran Hain Zamane Kab Se for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Hasrat-e-did Mein Guzaran Hain Zamane Kab Se in PDF.