Jaise Ham-bazm Hain Phir Yar-e-tarah-dar Se Hum

jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum

raat milte rahe apne dar-o-diwar se hum

sarKHushi mein yunhi dil-shad o ghazal-KHwan guzre

ku-e-qatil se kabhi kucha-e-dildar se hum

kabhi manzil kabhi raste ne hamein sath diya

har qadam uljhe rahe qafila-salar se hum

hum se be-bahra hui ab jaras-e-gul ki sada

warna waqif the har ek rang ki jhankar se hum

'faiz' jab chaha jo kuchh chaha sada mang liya

hath phaila ke dil-e-be-zar-o-dinar se hum

(1765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaise Ham-bazm Hain Phir Yar-e-tarah-dar Se Hum In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Jaise Ham-bazm Hain Phir Yar-e-tarah-dar Se Hum is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Jaise Ham-bazm Hain Phir Yar-e-tarah-dar Se Hum for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Jaise Ham-bazm Hain Phir Yar-e-tarah-dar Se Hum in PDF.