Jamegi Kaise Bisat-e-yaran Ki Shisha O Jam Bujh Gae Hain

jamegi kaise bisat-e-yaran ki shisha o jam bujh gae hain

sajegi kaise shab-e-nigaran ki dil sar-e-sham bujh gae hain

wo tirgi hai rah-e-butan mein charagh-e-ruKH hai na sham-e-wada

kiran koi aarzu ki lao ki sab dar-o-baam bujh gae hain

bahut sambhaala wafa ka paiman magar wo barsi hai ab ke barkha

har ek iqrar miT gaya hai tamam paigham bujh gae hain

qarib aa ai mah-e-shab-e-gham nazar pe khulta nahin kuchh is dam

ki dil pe kis kis ka naqsh baqi hai kaun se nam bujh gae hain

bahaar ab aa ke kya karegi ki jin se tha jashn-e-rang-o-naghma

wo gul sar-e-shaKH jal gae hain wo dil tah-e-dam bujh gae hain

(2259) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jamegi Kaise Bisat-e-yaran Ki Shisha O Jam Bujh Gae Hain In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Jamegi Kaise Bisat-e-yaran Ki Shisha O Jam Bujh Gae Hain is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Jamegi Kaise Bisat-e-yaran Ki Shisha O Jam Bujh Gae Hain for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Jamegi Kaise Bisat-e-yaran Ki Shisha O Jam Bujh Gae Hain in PDF.