Phir LauTa Hai KHurshid-e-jahan-tab Safar Se

phir lauTa hai KHurshid-e-jahan-tab safar se

phir nur-e-sahar dast-o-gareban hai sahar se

phir aag bhaDakne lagi har saz-e-tarab mein

phir shoale lapakne lage har dida-e-tar se

phir nikla hai diwana koi phunk ke ghar ko

kuchh kahti hai har rah har ek rahguzar se

wo rang hai imsal gulistan ki faza ka

ojhal hui diwar-e-qafas hadd-e-nazar se

saghar to khanakte hain sharab aae na aae

baadal to garajte hain ghaTa barse na barse

pa-posh ki kya fikr hai dastar sambhaala

payab hai jo mauj guzar jaegi sar se

(2899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir LauTa Hai KHurshid-e-jahan-tab Safar Se In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Phir LauTa Hai KHurshid-e-jahan-tab Safar Se is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Phir LauTa Hai KHurshid-e-jahan-tab Safar Se for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Phir LauTa Hai KHurshid-e-jahan-tab Safar Se in PDF.