Rah-e-KHizan Mein Talash-e-bahaar Karte Rahe

rah-e-KHizan mein talash-e-bahaar karte rahe

shab-e-siyah se talab husn-e-yar karte rahe

KHayal-e-yar kabhi zikr-e-yar karte rahe

isi mataa pe hum rozgar karte rahe

nahin shikayat-e-hijran ki is wasile se

hum un se rishta-e-dil ustuwar karte rahe

wo din ki koi bhi jab wajh-e-intizar na thi

hum un mein tera siwa intizar karte rahe

hum apne raaz pe nazan the sharmsar na the

har ek se suKHan-e-raaz-dar karte rahe

ziya-e-bazm-e-jahan bar bar mand hui

hadis-e-shola-ruKHan bar bar karte rahe

unhin ke faiz se bazar-e-aql raushan hai

jo gah gah junun iKHtiyar karte rahe

(4274) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-KHizan Mein Talash-e-bahaar Karte Rahe In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Rah-e-KHizan Mein Talash-e-bahaar Karte Rahe is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Rah-e-KHizan Mein Talash-e-bahaar Karte Rahe for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Rah-e-KHizan Mein Talash-e-bahaar Karte Rahe in PDF.