Sharah-e-bedardi-e-haalat Na Hone Pai

sharah-e-bedardi-e-haalat na hone pai

ab ke bhi dil ki mudaraat na hone pai

phir wahi wada jo iqrar na banne paya

phir wahi baat jo isbaat na hone pai

phir wo parwane jinhen izn-e-shahadat na mila

phir wo shamen ki jinhen raat na hone pai

phir wahi jaan-ba-labi lazzat-e-mai se pahle

phir wo mahfil jo KHarabaat na hone pai

phir dam-e-did rahe chashm o nazar did-talab

phir shab-e-wasl mulaqat na hone pai

phir wahan bab-e-asar jaaniye kab band hua

phir yahan KHatm munajat na hone pai

'faiz' sar par jo har ek roz qayamat guzri

ek bhi roz mukafat na hone pai

(1816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharah-e-bedardi-e-haalat Na Hone Pai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Sharah-e-bedardi-e-haalat Na Hone Pai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Sharah-e-bedardi-e-haalat Na Hone Pai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Sharah-e-bedardi-e-haalat Na Hone Pai in PDF.